Friday, December 2, 2011


Bachaya hai hussain (raziallahu tala anhu) ne deen ko


Bachaya hai hussain (raziallahu tala anhu) ne deen ko
Ke karbala me kata kar apne sar ko
Kis tarha ki hai hifazat shariyat-e-Mustafa (sallallhu alaihi wa sallam)ki
Qurbaan kar diya apne nanhe se asghar (raziallahu tala anhu) ko
Haae kis tarha sabar kiye hai Aal-e-Rasool
Khuda ki raah me qurbaan kardi apni jaanaun ko
Tum muqtaar Nabi ke muqtaar Nawase ho ya hussain (raziallahu tala anhu)
Kalima padaya us taazim karne wale yahudi ko
Ye nawase hai do aalam ke badeshah ke
Haye shimar mardud ye tune qatal kiya hai kis ko
Batti gul karke kaha aapne, jo jana chahta hai jai
Lekin manzur the saare jam-e-shahadat peenay ko
Duaa kar dete Hussain (raziallahu tala anhu) halaak-o-barbaad hojate yazidi
Lekin bhuk aur pyas manzoor thi Hussain(raziallahu tala anhu)ko
Maan najdi yazid ku tu apna peshwa
Hum ne to maan liya badeshah Hussain (raziallahu tala anhu) ko
Sirf ye sabar hi tha majboori nahi aye najdi
Chahe to thokar mar kar paani pila dete sab ko
Aa e hai yazidi ban kar najdi aur raabzi
Ya hussain(raziallahu tala anhu) khudara bachao hum sunni'aun ko
JABER fikr kiyu karta hai roz-e-mahshar ki
Tune apna peshwa maana hai jannat ke Sardar ko

Badi shay hai nisbat-e-Mustafa


Badi shay hai nisbat-e-Mustafa,
Hai waseela apni najaat ka
Shah-e-ambiya ki jo Aal hai,
Barha uska jaah-o-jalaal hai,
Nahin uski koi misaal hai,
Wo habib-e-haq ka jamaal hai,
Nahin kaal is mein ye haal hai,
Mila usko kaisa kamaal hai,
Ye Khuda-e-pak ki hai ataa,
Badi shay hai nisbat-e-Mustafa
Wo jo Ahle Bayt ke hain Imam,
Barhe muttaqi barhe nek naam,
Wo hain badshah to hain hum ghulam,
Bane unke madhha tara tamaam,
Barha uncha har ek ka hai maqaam,
Hue pehle hazrat Ali Imam,
Jinhe sab ne Asadullah kaha,
Badi shay hai nisbat-e-Mustafa
Hain Hassan Imam Hussain bhi,
Hain Ali Raza wo Naqi Taqi,
Hain Imam Baqir-o-Kazmi,
Kahin Abdi kahin Ja'fari,
Koi Mahdi koi hai Askari,
Hai har ek Rasool ki raushni,
Mili unse duniya ko hai zia,
Badi shay hai nisbat-e-Mustafa
Ye hain aala aulad-e-Ali
Kahin in mein Alwi aur Fatemi
Yahi nasl aal-e-Nabi bani
Hai mohabbat inse to wajibi
Hai Riyaz hukm-e-Khuda yahi
Yahi hai hadeeth Huzoor ki
Kahoon kyun na phir main warmala
Badi shay hai nisbat-e-Mustafa

Badi Ummid Hai Sarkaar QadmoN MeiN BulaaeiN Ge


Badi Ummid Hai Sarkaar QadmoN MeiN BulaaeiN Ge
Karam Ki Jab Nazar Hogi, Madiney Ham Bhi JaaeiN Ge
Agar Jaana Madiney MeiN Hua, Gham Ke MaaroN Ka
Makine Gumbade Khadra Ko Haale Dil SunaaeiN Ge
Qasam Allah Ki Hoga Woh Manzar Deed Ke Qaabil
Qiyaamat MeiN Rasoolallah Jab Tashrif LaaeiN Ge
GunahgaaroN MeiN Khud Aake Shaamil Paarsa HoN Ge
Shafiye Hashr Jab Daamaane Rehmat MeiN ChupaaeiN Ge
Ghame Ishqe Nabi Se Hoga Jab Maamoor Dil Nayyar
Tere Jhurmat Qade MayN Bhi SitaareiN JagmagaaeiN Ge

Balaghal ula bikamali kasha fadduja bijamalihi


Balaghal ula bikamali kasha fadduja bijamalihi
Hasunat jamiu hisaalihi sallu aleyhi wa aalihi
Meyn buron say laakh bura sahi magar un say he mayra waasta
Mayri laaj rakhna mayray khuda yay tayray habeeb ki baat he
Karuun tayray naam pay jaan fida na bas eyk jaan do jahaan fida
Do jahan say bhi nahiin ji bhara karun kya karoron jahan nahiin
Tayray zikr ki he yay barkatayn mayray bigray kam sanwar ga-ay
Jahaan tayri yaad ho dilnasheen wahiin rahmaton ka nazool he
Tayri deed jis sko naseeb he wo naseeb qaabil e deed he
Tayra daykhna mayri eid he tayra rukh kalaam e majeed he
Aaway karma wali fayr o gharii phira meyn madinay gali gali
Fayr saadi wi howay haazri saaday waastay koii dua karay
Ho daruud tujh pay bhi aamina tayray chaand par bhi salam ho
Tayri goad kitni azeem he mila tujh ko maah e tamaam he
He yay aarzu jo ho surkhru milay do jahaan ki aabru
Meyn kahun ghulam huun apka wo kahayn kay hamko qabul he
Balaghal ula bikamali kasha fadduja bijamalihi
Hasunat jamiu hisaalihi sallu aleyhi wa aalihi.

Balaghal ula bikamalihi kasha fadduja bijamalihi


Balaghal ula bikamalihi kasha fadduja bijamalihi
Hasunat jamiu hisaalihi sallu aleyhi wa aalihi
Mein buron say laakh bura sahi magar un say he mera waasta
Meri laaj rakhna merai khuda yay teray habeeb ki baat he
Karuun teray naam pay jaan fida na bas eik jaan do jahaan fida
Do jahan say bhi nahiin ji bhara karun kya karoron jahan nahiin
Tayray zikr ki he yay barkatayn merai bigray kam sanwar ga-ay
Jahaan teri yaad ho dilnasheen wahiin rahmaton ka nazool he
Teri deed jis sko naseeb he wo naseeb qaabil e deed he
Tera daykhna meri eid he tera rukh kalaam e majeed he
Aaway karma wali fayr o gharii phira mein madinay gali gali
Fayr saadi wi howay haazri saaday waastay koii dua karay
Ho daruud tujh pay bhi aamina terai chaand par bhi salam ho
Teri goad kitni azeem he mila tujh ko maah e tamaam he
He ye aarzu jo ho surkhru milay do jahaan ki aabru
Meyn kahun ghulam huun apka wo kahayn kay hamko qabul he