Showing posts with label Poetry Wallpapers. Show all posts
Showing posts with label Poetry Wallpapers. Show all posts

Saturday, February 12, 2011

hai ye December ...

Hamare hal pe roya December..
Wo dekho toot k Bersa December..
Guzer jata hai sara saal yun toh..
Nahi kat'ta mager tanha December..
Yun Palken bheegti rehti hain aise..
...Meri ankhon mai jaise aa thehra December..
Jama punji yhi hai umar bhar ki..
Meri Tanhai aur Mera December..
Main in Yaadon se bach k jaun kahan??
K meelon duur hai phela December..
Meri ankho se agar dekho to jano..
K hai barsaat mai jalta December..
Abhi tak bebasi me Dooba hai Aangan..
Abhi tak yaad hai Pichla December...

Ekla Cholo Re ...

If they answer not to thy call walk alone,
If they are afraid and cower mutely facing the wall,
O thou unlucky one,
open thy mind and speak out alone.

If they turn away, and desert you when crossing the wilderness,
O thou unlucky one,
trample the thorns under thy tread,
and along the blood-lined track travel alone.

If they do not hold up the light when the night is troubled with storm,
O thou unlucky one,
with the thunder flame of pain ignite thy own heart
and let it burn alone.
--Rabindranath Tagore 

Aankahee....


Agar aansu baha deti to un ke pass kya rehta..

Woh mujh ko hosla dete to un k pass kya rehta ..
 
Nishan mujh ko nahi milta koi un tak pahunchne ka
 
Mujhe apna pata dete to un ke pass kya rehta..
 
Woh un ka maaan tha ki jis ke dum per ab woh zinda hai
 
Mein un ka dil dukha deti to un ke pass kya rehta .....
 
Musaafir saarey hi pal bhar ruk kar apni raah chal dete
 
Ped tehni jhuka deta to us ke pass kya rehta ?
 
Meri yaadon ne hi ab tak unhe abaad rakha hai
 
Woh mujh ko bhi bhula dete to un k pass kya rehta ....

Kash...


Kash Tujhse Ek Baar Phir Mil Paate
Dil Ke Zakham Kuch Palo Ko Sil Jaate

Dekhte Teri Ankhon Mai Phir Apna Chehra
Teri Bahon Mai Phir Se Simat Jaate

Khayalo Ko Haqiqat Ka Aaina De Paate
Khawabo Ko Kuch Palo Ke Liye Jee Jaate

Bichadte Kaise Phir Hum Tujhse o Sanam
Yahi Soch Kar The Kadam Mere Ruk Jaate

Kash Tujhse Ek Baar Phir Mil Paate
Dil Ke Zakham Kuch Palo Ko Sil Jaate

i miss my pari ...

when u r not around, I just cry... I have wondered why? 
Then i realized, my tears just come out searching for u...

u r in my eyes... i knw 

tht u r scared of darkness , 
thts y i keep my eyes open

if time is an ocean, then i wud spend every drop for u
 if time is a drop, then i wud spend every ocean for u

when am angry u knw just wat to do.. 

u just smile n my anger loses the battle against it

i want to spend a whole day with u.. i wish my life is just 1 day long
if we can talk only during nights, i wont bother my life being dark

this is you my angel without wings
or an angel is you with wings... i think d 2nd 1 is better :)

Koi khas nahi.....!


Monday, February 7, 2011

Ek shakhs ko bhola kar

Lekin Terey Bagheir.....

Phir say rog lagao tum

Teri Khushbu Ka Pata Karti Hai

" Tum ager mujay na chaho . . .

Apnay ghar ki khirkee se main aasman ko dekhon ga . . .

Woh Nahi Mera Magar . . .

Sab sey Chuppa Kar Dard,

" Ab Hamari Bhi Suno"

Suno Ladki…

Friday, February 4, 2011

Idhar Zindagi Ka Janaza Uthay Ga

Idhar Zindagi Ka Janaza Uthay Ga
Udhar Zindagi Un Ki Dulhan Banay Gi

Qayamat Say Pehlay Qayamat Hai Yaaro
Mairay Samnay Meri Dunya Lutay Gi

kisi ka naam likhnay se koi apna nahi hota

Baray ma'soom jazbon se wo apnay shoKh haathon par
wafa ki surkh mehendi se
usi ka naam likhti he
...Jisay wo pyar karti he
Magar wo na samajh larki
Abhi tak ye nahi samjhi
K sapnay toot jayen to bohat barbaad kartay hen
ye ujlay rang haathon par kabhi thehra nahi kartay
Mohabbat to haqeeqat he
koi sapna nahi hota
kisi ka naam likhnay se koi apna nahi hota.

"Ay muhabat tere anjaam pe roona aaya",,,,,

"Ay muhabat tere anjaam pe roona aaya",,,,,
Jane kyun aaj tere naam pe roona aaya,,,,,
Youn to her shaam umeedon mein guzar jaati thi,,,,,
Aaj kuch baat thi jo shaam pe roona aaya,,,,,
Kabhi taqdeer ka maatam kabhi dunya ka gila,,,,,
Manzil-e-ishq mein her kaam pe roona aaya,,,,,
Jab huwa ziker zamane mein muhabat ka "SAQI",,,,,
Mujhe apne dil'e' nadaan pe roona aaya.

Mujhe Aazad Kr Do Na !

Mujhe Aazad Kr Do Na !
Ke Mein Hon Qaid Barson Se,
Judai Ki Aziyat Mein,
Zehar Bhr De Gi Ye Zalim,
Meri Nazuk Tabiyat Mein,
...Na Do Ab Hosla Mujh Ko,
Bata Do Raasta Mujh Ko,
Koi Bahir Nikalny Ka,
Hawa Mein Phir Se Urrny Ka,
Mujhe Us Daes Jana Hai,
Jahan Punchi Utarty Hain,
Jahan Musam Badalty Hain,
Meri Banjar Si Aankhon Mein,
Meri Be_taab Saanson Mein,
Koi To Rang Bhr Do Na,
Mujhe Aazad Kr Do Na...!