Showing posts with label Poetry Wallpapers. Show all posts
Showing posts with label Poetry Wallpapers. Show all posts

Sunday, March 20, 2011

Judai Uski Kitni Ajeeb Thi Sagar_


Judai Uski Kitni Ajeeb Thi Sagar_

Judai Uski Kitni Ajeeb Thi Sagar_
Na Safar k Rahey Na Watan K Rehey_
Tukkry Huay Jism K itney K_
Na Kafan K Rahey Na Dafan K Rahey_

Kaash Key Ab KeY BaaR ...


Kaash Key Ab KeY BaaR ...

Kaash Key Ab KeY BaaR Wo Ye KaH De Aye Jan-e-WaFa_
"AAo Ke TaNha Hoon' TerI Tarah' TereY LiyE_..

Saturday, March 19, 2011

Uski Zindagi Main Meri Ahmiyat ...


Uski Zindagi Main Meri Ahmiyat ...

Uski Zindagi Main Meri Ahmiyat Ek Khiloney JAisi Hai _
Sagar
Dil Karta Hai To Kahilta Hai_
Dil BHarta Hai To Tor Deta Hai...!

Dil Ka Kiya Hai ...


Dil Ka Kiya Hai ...

Dil Ka Kiya Hai Yeh To Teri Yadoon K Saharey G Ly Ga_
Sagar
Baat To ANkhon Ki Hai Jo Tarapti Hain Terey Deedar Kay Liye..!

Wo Jahan Kahin Bhi Jaiga ...


Wo Jahan Kahin Bhi Jaiga ...

Wo Jahan Kahin Bhi Jaiga_
Palat Kar Merey Paas Hi Ayega_
Wo TO Meri Muhabaton Ka Aadi Hai Sagar_
Koi Or Usay Kaise Khush Rakh Payega_

Thursday, March 17, 2011

Kitni Nafrat Hai Usey...


Kitni Nafrat Hai Usey...

Kitni Nafrat Hai Usey Meri Mohabbat Se Sagar_
Usne Apne Hath Jala Daley Meri Taqdeer Mitaney K Liye...!

Nafrat K Saaye Main ...


Nafrat K Saaye Main ...

Nafrat K Saaye Main Palti Hai Mohabbat Sagar_
Hathon Main Hath Hon To Lakeerain Mil Hi Jati Hain......!

Mohabbat Kya Hai ...


Mohabbat Kya Hai ...

Mohabbat Kya Hai DO Lafzon Main Tumhain Hum Batatey Hain Janaa..........!
Tera Majboor Kar Dena......." Mera Majboor Ho Janaa..............!

Kabhi Lay Mujhsey


Kabhi Lay Mujhsey ...
 
Kabhi Lay Mujhsey Meray "Shab-o-Roz" KA Hisaab_
Phir Dhoond Apnay Siwa Kuch Or Meri Zindagi Main........!

Na Zameen Hai Meri Qaraar Gah


Na Zameen Hai Meri Qaraar Gah ...

Na Zameen Hai Meri Qaraar Gah ' Na Falak Hai Manzil-e-Jazba-e- Dil...
Barri MUddaton SEy HAi Safar Mera Teri Yaad Sey Teri Zaat Tak...!

Phool Khil Jain TO ...


Phool Khil Jain TO ...

 Phool Khil Jain TO Us Shakhs Se Kam Kam Milna''''
Aksar December Main Mohabbat Pe Zawal Aata Hai..............................!

Usey Main Dil Main Rakh Leti


Usey Main Dil Main Rakh Leti
 
Usey Main Dil Main Rakh Leti' Agar Hota Yeh Bus Main Mery...........!
Usay Sab Dekhtey Hain Mujhsey Yeh Dekha Nahi Jaata............!

Barri Dil Kash Dua Dii


Barri Dil Kash Dua Dii

Barri Dil Kash Dua Dii Kisi Ney Hamain Jeeney Kii......!
Sagar_
Sada Khush Rahoo Apni Tanhaiyon K Saatth...............!

Thursday, March 10, 2011

Me TO Jalta Howa Suraj Hon


Me TO Jalta Howa Suraj Hon . . .

Me TO Jalta Howa Suraj Hon Manti Hon K Log Mujhsey Nafrat KArtey HAin_
Lakin Jab Me DOub Jatiii Hon To Duniya Viraan Q Ho Jati HAiii...

Akailey HAin Magar


Akailey HAin Magar . . .

Akailey HAin Magar Aabaad Kar Letey Hain Weeraaney Sagar_
Bohat Roye Gi Hamarey Baad Hamari Shaam-e-Tanhai...!

Abi To Mil K Chalna Hai


Abi To Mil K Chalna Hai . . .

Abi To Mil K Chalna Hai' Samandar Ki Musafat Main..._ Sagar_
Phir Agaey Chal K Dekhain GAy Kinara Kon Karta Hai...!

Shifa Deta Hai ZAkhmo'n Ko


Shifa Deta Hai ZAkhmo'n Ko . . .

Shifa Deta Hai ZAkhmo'n Ko Tumhara Marhami Lehja Sagar_
Magar Jo Dil Pe CHaltey Hain Wo KHanjar Bhi Tumharey Hain...

Naazuk Sey Hotey Hain . . .


Naazuk Sey Hotey Hain . . .

Naazuk sey hotey hain ghareebon key dil sagar_
Kabhi toot jatey hain kabhi toor diye jate hain.......!!!!!!!!!!

Thursday, March 3, 2011

Hum toot jain gay...

Sunoo!
Hum toot jain gay...
k dori seh na pain gay
JUDAI MAR DALAY GI

Sunoo!
Ya ankhain bojhal hain
Inhain kis tarha behlain

Suno!
Hum so na pain gay
Kabhi khush ho na pain gay
JUDAI MAR DALAY GI

Suno!
Ya DIL tumhara hay
Na tum bin ab guzara hay

Suno!
Kuch wakt do hum koBana lain dost is gham ko
Hamain maloom hay akhir
JUDAI MAR DALAY GI
Suntay ho na?
Samujhtay ho na?
JUDAI MAR DALAY GI

Saturday, February 12, 2011

Lekin Ye Kya Batau Ab Haal Doosra Hai...Wo Saal Doosra Tha Ye Saal Doosra Hai....!!!

Pata nhi kyu is baar naye saal pe mera baar baar ye gaane ka mann kar rha hai... here it goes 


Jab Tum Se Ittefakan Meri Nazar Mili Thi.
Ab Yaad Aa Raha Hai Shayad Wo January Thi.


Tum Yu Mile Dobara Phir Mahe Febrauary Me.
Jaise Ke Humsafar Ho Tum Rahe Zindagi Me.


Kitna Hansi Zamana Aaya Tha March Lekar.
Rahe Wafa Pe The Tum Wado Ki Torch Lekar
.

Bandha Jo Ahede Ulfat April Chal Raha Tha.
Duniya Badal Rahi Thi Mausam Badal Raha Tha.


Lekin May Jab Aaya Jalne Laga Zamana.
Har Shaks Ki Zaba Par Tha Bas Yahi Fasana.


Duniya Ke Darr Se Tumne Badli Thi Jab Nigahe
Tha June Ka Mahina Lab Pe Thi Garm Aahe.


July Me Bhi Tum Ne Ki Baat Cheet Kuch Kam.
They Aasma Pe Badal Aur Meri Aakh Purnam.


Mahe August Me Jis Dam Barsat Ho Rahi Thi.
Bas Aasuo Ki Barish Din Raat Ho Rahi Thi.


Ab Yaad Aa Raha Hai Wo Mah Tha September.
Bheja Tha Tum Ne Mujhko Lekh Ke Wafa Ka Letter.


Tum Gair Ho Rahe The October Aa Gaya Tha.
Duniya Badal Chuki Thi Mausam Badal Chuka Tha


Jab Aagaya November Aisi Bhi Raat Aayi.
Mujhse Tumhe Chudane Sajkar Barat Layi.


Bekaif Tha December Jazbaat Mar Chuke The.
Mausam Tha Sard Usme Arma Bekhar Chuke The.


Lekin Ye Kya Batau Ab Haal Doosra Hai.
Wo Saal Doosra Tha Ye Saal Doosra Hai.