Monday, May 30, 2011

Aapne daamane shifaat


Apnay daamane shifaat main chupaye rakhna
Meri sarkaar meri baat banaye rakhna
Maine maana ke nikamma hoon magar aap ka hoon
Is nikamme ko bi sarkar nibaye rakhna
Meri sarkaar meri baat banaye rakhna
Jab sare hashre sawaaneze pai suuraj aaye
Aapne kamli kai gunahgare pai saye rakhna
Meri sarkaar meri baat banaye rakhna
Un kai aane ki gari hai wo hain aane waaley
Meri sarkar ki mehfil ko sajaye rakhna
Meri sarkaar meri baat banaye rakhna
Zarraye khaak ko khursheed banane waey
Khaak hoon khaak ko kaadmoon sey lagaye rakhna
Meri sarkar meri baat banaye rakhna
Apney daamane shifaat main chupaye rakhna

No comments:

Post a Comment