Thursday, November 24, 2011

Amina Ka laal Aaya


Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya
Agaya woh noor wala, jis ki uchi shaan hai,
jis ki midhat main hi utara ye saara Quran hai,
Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya
Ho bayan kaise fazeelat Amina ke chand se,
Us ki to har har ada par bolta Quran hai,
Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya
Jo kaha mere nabi ne woh hamesha sach howa,
ho bahoo tasleem karta aaj sciencedaan hai,
Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya
Amina tuj ko mubarak tere ghar jalwa figan,
Aaj woh mah he risalat nabiyun ka sultan hai,
Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya

No comments:

Post a Comment