�zinda hay kon poochtey ho zindagi kia hey
is baab mei keh kuch bhi mager nahin sakti
wohi zinda hey jis ko zindagi se aas rahe
bina maqsad to zindagi guzer nahin sakti
mein hoon khud apne wajood ka saaya
saaye andheron mei mil nahin sakte
tum musafir thikaana tumhara manzil hey
tum mere saath chal nahin sakte
in andheron ko talaash-e-chiraagh hey janam
jis ke saaye tale panah mile
badnaseeb kheera huye jaate hein
jab bhi roshni se nigah miley
ye begaangi chaahe koi pehchan ley mujhe
or khamoshi boley koi zubaan de mujhe
aanso jo meri aankh ki sarhad mein na raha
wo bolta hey aaj to amaan dey mujhe
khuaab hon umeedein hon ya phir aitbaar ho
sabhi nazuk se aabgeene hein
toot ker bikharna hey muqadar inka
gardishe toofaan mein ye safeene hein
zindahi manind mojey deriyaa hey
lehron ko qaid ker nahin sakti
wohi zinda hey jisko zindagi se aas rahe
bina maqsad to zindagi guzer nahin sakti__,_._,___
All about Pakistan,Islam,Quran and Hadith,Urdu Poetry,Cricket News,Sports News,Urdu Columns,International News,Pakistan News,Islamic Byan,Video clips
Wednesday, September 11, 2013
zindagi kiya hai...
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment