Showing posts with label A. Show all posts
Showing posts with label A. Show all posts

Monday, May 30, 2011

Aye Shahenshahe Madina Asslatowasslam


Aye Shahenshahe Madina Asslatowasslam
ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam
zeenat-e arsh-e mu'alla, assalat-o-wassalam
rabbi-habli-ummati kehte huway paida huay
rab ne farmaya ke bakhsha assalat-o-wassalam
ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
zeenat-e-arsh-e mu'alla, assalat-o-wassalam
sar jhuka kar ba adab ishq-e rasoolallah may,
keh raha he har sitara assalat-o-wassalam
ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
zeenat-e-arshe-e mu'alla, assalat-o-wassalam
mu'mino padhthay raho tum apnay aqa par durood
he farishto ka wazifa, assalat-o-wassalam
ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
zeenat-e-arshe mu'alla, assalat-o-wassalam
mein woh sunni hu jamil-e qadri marnay ke ba'd
mayra laasha bhi kahe ga assalat-o-wassalam
ae shahenshah-e-madina assalat-o-wassalam
zeenat-e-arshe mu'allah, assalat-o-wassalam
jab firishtay qabr mein jalwa dhikha-e aap ka
ho zabban par pyaare aqa, assalat-o-wassalam,
ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
zeenat-e-arsh-e mu'allah, assalatowassalam.

Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi


Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi
Jaisay Meray Sarkaar Hain Waisa Nahi Koi
Tumsa Tou Haseen Aankh Ne Dekha Nahi Koi
Ye Shaan-e-Latafat Hai Ke Saaya Nahi Koi
Ye Toor Say Kehti Hai Abhi Tak Shab-e-Mairaj
Sarkaar Ka Jalwa Hai Tamaasha Nahi Koi
Hota Hai Jaha Zikr Muhammad(SalAllaho Alaih-e-Wa Sallam) Kay Karam Ka
Uss Bazm Mein Mehroom Tamanna Nahi Koi
Aizaaz Ye Haasil Hai Tou Haasil Hai Zamee Ko
Aflaak Pe Tou Gumbad-e-Khizra Nahi Koi
Sarkar Ki Rehmat Ne Magar Khoob Nawaza
Ye Sach Hai Ke Khalid Sa Nikamma Nahi Koi

Aaye Aaqa Madani Aaqa


Aaye Aaqa Madani Aaqa
Aaye Aaqa Madani Aaqa Mere Pyaare Pyaare Aaqa
Allah Allah Allah Allah Allah Allah
Aaye Aaqa Madani Aaqa
Aamina Bibi Ke Gulshan Mein Aayi Hai Taaza Bahaar
Parhte Hain Sallalaho Wassalam Aaj Dar-O-Deewar
Madani Allah Allah Allah Allah
Baara Rabi Ul Awwal Ko Woh Aaya Rasool-e-Kareem
Mahe-e-Nabuwat Mehr-e-Risalat Sahib-e-Khulq-e-Azeem
Madani Allah Allah Allah Allah
Pyaari Surat Hansta Chehra Moo Se Jhartay Phool
Noor Saraapa Chaand Sa Chehra Haq Ka Pyaara Rasool
Madani Allah Allah Allah Allah
Jibreel Aaye Jhoola Jhulanay Lori De Zeeshan
So Jaa So Jaa Rehmat-e-Alam Do Jug Ke Sultan
Madani Allah Allah Allah Allah
Awwal-O-Aakhir Sab Kuch Jaanay Deekhay Ba'eed-O-Qareeb
Ghaib Ki Khabrein Dene Waala Allah Ka Woh Habeeb
Madani Allah Allah Allah Allah
Hamid-O-Mehmood Aur Muhammad (Peace & Blessings Be Upon Him) Do Jug Ka Sardaar
Jaan Se Pyaara Raaj Dulaara Rehmat Ke Sarkar
Madani Allah Allah Allah Allah
Aaye Aaqa Madani Aaqa Mere Pyaare Pyaare Aaqa
Allah Allah Allah Allah Allah Allah
Aaye Aaqa Madani Aaqa

Aaye Aaqa Madni Aaqa


Allah Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Allah
Aaey Aaqa Madni Aaqa
Pyaray Pyaray Pyaray Aaqa
Aamina Bibi ke Gulshan mein
Aai he Taza Bahar
Partay hein Sal lAllaho Wa Sallam
Aaj dr-o-dewar Madni
Bara Rabi ul Awwal ko woh
Aaya Dur-e-Yateem
Mah-e-Nabuwat Mehr-e-Risalat
Sahib-e-Khulq-e-Azeem Madni
Pyari Surat Hasta Chehra
Moun Seh Jartay Phool
Noor Siraa Pa Chand sa Chehra
Haq Ka Pyara Rasool Madni
Jibreel Aay jhoola jhulaey
Lori de Zi Shan,
So ja So ja Rahmat-e-Aalam
Do jag ke Sultan Madni
Awwal-o-Aakhir sab kuch Jaanay
Dekhe Ba'eed-o-Qareeb
Ghayb ki Khabrein Denay Wala
Allah ka who Habeeb Madni
Hamid o Mahmood-o-Muhammad
Do jag Ka Sardar
Jaan se Pyara Laaj Dulara
Rahmat ki Sarkar Madni
Aaey Aaqa Madni Aaqa
Pyaray Pyaray Pyaray Aaqa
Allah Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Allah

Aaya Ramzaan Ka Mahina Khafila Chala Soo-E-Madina


Aaya Ramzaan ka mahina Khafila chala soo-e-Madina
Mujhe bhi do izn-e-Madina aane ki Sarkare Madina
Mujhe na aaya bulawa kitni hai dil me tamanna
kash Aqa mai bhi dekh leta bahar-e-Ramzaan-e-Madina
Meri qismat ko bhi Khudara Tum sajana
Hasnain ke sadqe me dikhana baar baar Madina
Kahaan jaun kahaan daman pasaroon mai Malik-e-Madina
Aas lagai hamne Tumhare Dar se ae Shahinsha-e-Madina
kaheen aisa na ho seene me dafn karke gham-e-Madina
Mai duniya se chala jaon bin deed ke Madina
Ghamaun ke sailab me dooba jaraha hoon Sultan-e-Madina
LILLAH IMDAD ko aao meri Sarwar-e-Madina
Iss saal zaroor mujh aasi ko Sarkar bulana
Rauda-e-Anwar aur Gumbade Khizra dikhana
Chamka kar meri aankhaun ko jalwa dikha dena
Dekh loon aankh bharke Tum ko Shahe Madina
Duniya ki mohabbat dil se nikal jae Aqa-e-Madina
Rahe chashm-e-nam dil me bas gham-e-Madina
Maana ke nahi qabil hoon jo dekhoon Tumhara Madina
Phir laoon kahaan se wo aamal mai Sarkar-e-Madina
Nahi jaber ke paas koi zar jo dekhe Pyara Madina
Itna to ho Karam khabaun me ise dikhado Madina

Aaya Hai Bulawa Mujhay Darbar-e-Nabi Se


pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se
her aah gaye arsh pe ye aah ki kismat
her ashk pe aik khuld hai her ashk ki qeemat
tohfa ye mila hai sarkar-e-nabi se
ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se
darbare-nabi se
bhaati nahi humdum mujhe jannat ki jawaani
sunta nahi zahid us mein hooron ki kahani
ulfat hai mujhe sayaa-e-deewar-e-nabi se
ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se
darbare-nabi se
irfan ki kasak khulq ki mai sabr ka saagar
kiya lutf mila kerta hai jo dete hein sarwar
ye pooch le aake koi beemar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se
darbar-e-nabi se
pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se
darbar-e-nabi se
pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se
darbar-e-nabi se

Aaqa Ka Milad Aaya


Ya RasoolAllah Ya HabibAllah
Salla Alaika Ya RasoolAllah
Wassallam Alaika Ya HabibAllah
Ahlaon Wa Sahlan Marhaba Ya RasoolAllah
Charoon Taraf Noor Chahya Aaqa Ka Milad Aaya
Khushiyon Ka Pegham Laya Aaqa Ka Milad Aaya
Shams-O-Qamar Aur Taaray Kyun Na Ho Khush Aaj Saaray
Unse Hee Tou Noor Paaya Aaqa Ka Milad Aaya
Khushiyan Manatay Hain Wohi Dhoomein Machatay Hain Wohi
Jinn Per Hua Unka Saaya Aaqa Ka Milad Aaya
Hai Shaad Har Ek Musalmaan Karta Hai Ghar Ghar Charaghaan
Galiyun Ko Bhi Jagmagaya Aaqa Ka Milad Aaya
Mukhtar-e-Kul Maanay Jou Unhe Noori Bashar Jaanay Jou Unhe
Na’ara Ussi Ne Lagaya Aaqa Ka Milad Aaya
Jou Aaj Mehfil Mein Aaye Mun Ki Muradein Woh Paaye
Sab Par Karam Ho Khudaya Aaqa Ka Milad Aaya
Ghous Ul Wara Aur Data Ne Mere Raza Aur Khuwaja Ne
Sab Ne Hee Din Ye Manaya Aaqa Ka Milad Aaya
Na’at-e-Nabi Tum Sunao Ishq-e-Nabi Ko Barhao
Hum Ko Raza Ne Sikhaya Aaqa Ka Milad Aaya
Jiss Ko Shajar Jaantay Hain Kehna Hajar Maantay Hain
Aisa Nabi Hum Ne Paaya Aaqa Ka Milad Aaya
Dil Jagmaganay Lagay Hain Sab Muskaranay Lagay Hain
Ik Kaif Sa Aaj Chahya Aaqa Ka Milad Aaya
Kar Ae Ubaid Unki Midhat Tujh Per Khuda Ki Ho Rehmat
Tu Ne Muqqadar Ye Paaya Aaqa Ka Milad Aaya

Aapne daamane shifaat


Apnay daamane shifaat main chupaye rakhna
Meri sarkaar meri baat banaye rakhna
Maine maana ke nikamma hoon magar aap ka hoon
Is nikamme ko bi sarkar nibaye rakhna
Meri sarkaar meri baat banaye rakhna
Jab sare hashre sawaaneze pai suuraj aaye
Aapne kamli kai gunahgare pai saye rakhna
Meri sarkaar meri baat banaye rakhna
Un kai aane ki gari hai wo hain aane waaley
Meri sarkar ki mehfil ko sajaye rakhna
Meri sarkaar meri baat banaye rakhna
Zarraye khaak ko khursheed banane waey
Khaak hoon khaak ko kaadmoon sey lagaye rakhna
Meri sarkar meri baat banaye rakhna
Apney daamane shifaat main chupaye rakhna

Tuesday, May 24, 2011

Aanay walo yay to bataao shehr madina kesa he


Aanay walo yay to bataao shehr madina kesa he
Aanay walo yay to bataao shehr madina kesa he
Sar un kay qadmon mayn rakh kar jukh kar jiina kesa he
Gunbaday khazra kay sa-ay mayn beytth kay tum to aa-ay ho
Uss sa-ay mayn rab kay aagay sajda karna kesa he
Dil aankhayn or ruuh tumhari lagti heyn sehraab mujhay
Dar pay un kay beytth kay zamzam piina kesa he
Diiwano aankhon say tumharitna puuch to laynay do
Waqt e dua rozay pay un kay aansu bahana kesa he
Waqt e rukhsat dil ko apnay chhoarr wahaan tum aa-ay ho
Yay batlaa-o ishrat un kay dar say bichharrna kesa he

Aagaii jag de vich bahaar


Aagaii jag de vich bahaar
Aagaii jag de vich bahaar
Ban ke aaya kamli waala nabiyaan da sardaar
Kamli waala je na oanda, rab vi na koii cheez banonda
Sohne da ai sadqa banya ai saara sansaar
Rab aakhe tun dilbar mera, mera sab kujh sohniyaan tera
Meri har shei da mahbuba tum maalik mukhtaar
Oganhaaro na ghabra-o! ral mil khushiyaan yaar mana-o
Dukhiyaan de dukh wanddan waala agaya rab da yaar
Kyun na geet nabi de gaayi-ai, kyunkar na milad manaayi-ai
Kul nabiyaan da sarwar aaya sunniyaan da mantthaar!
Chumke jaalyiaan seene laayi-ai, roze paak da darshan paayi-ai
Ral mil challi-ai shehr madine aajaawe o waar
Aahda-ai ashfaaqi challa, je karna-ai raazi allah
Pharrh lei feir sohne da palla lag jaawain g apaar

Aagae Mustafa ki sawaari


Aagae Mustafa ki sawaari
Khaliq ney apney Nuur ka, Jalwa dikha diyaa
Sab Nuur ko Mila kay Muhammed bana diya
Aagae Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo
Dey rahey hain farishtey salaami
Tum duruudo ki maala banaa loo
Aagae Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo
Apney mangto ko wo paaltey hain
Wo bhala kis ko kab taaltey hain
Sadqa Hasnain (R.A) o Ghausul Waraa (R.A) ka
Ya Nabi meri jholi may daalo
Aagae Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo
Ker kay Naato sey her so charaaga
Youu manaaey gay jashney bahaara
Aashiqo Aamad-e-Mustafa hay
Deep Khushiyoo kay her suu jala lo
Aagae Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo
Waqt chamkey ga aik din hamaarey
Dekh lain gay wo dilkash nazaarey
Aap ko jo bhi sab sey hain pyaarey
Un kay sadqey may ham ko bula lo
Aagae Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo
Jin kay haatho may hay Un ka daaman
Naam-e-Ahmad hay jis dil ki dharkan
Jo hay pehchaan hum aashiqo kee
Jhuum ker un ka naara laga lo
Aagae Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo
Puuray ho jaeingay un kay armaan
Ker rahey hain Wo bakhshish ka samaan
Jashne Milaad ki barkato sey
Apney Qalbo Nazer Jag maga lo
Aagae Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo
Midhat-e-Mustafa hee kay sadqey
Hay Moin apney sab kaam bantey
Her ghari zikr ho Mustafa ka
Iss ko apna wazeefa bana lo
Aagae Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo
Aagae Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo
Dey rahey hain farishtey salaami
Tum duruudo ki maala banaa loo
Aagae Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Aa mil yaar saar le meri


Aa mil yaar saar le meri, meri jaan dukhaan ne gheri
Andar khvaab vichoda hoya, khabar na paindi teri.
Sunni ban vich lutti saiyaan, chor shaang ne gheri.
Mullah qazi saahnu raah bataavan, dein dharam de pheri.
Eh taan thug ne jagg de jheevar, laavan jaal chuferi.
Karam sharaan de dharam bataavan, sangal paavan pairi,
Zaat mazhab eh ishk na puchhda, ishk shara da vairi.
Nadiyon paar mulak sajan da, lobh lehar ne gheri,
Satgur beddi phaddi khalote, taen kyun layi a deri.
Bulla shah shauh tennu milsi, dil nu deh dileri,
Preetam paas te tolna kisnu, bhulliyon sikhar dupehri.
Aa mil yaar saar le meri, meri jaan dukhaan ne gheri

Aa jaaye bulawa mujhe


Aa jaaye bulawa mujhe AQA Tere Dar se
Jis Dar ki ghulaami ko to jibreel bhi tarse
Paidal hi nikalte hain, masaafat ka nahin khauf
Thakte hi nahin ham to Madine ke safar se
Sunnat pe Teri chalne ka aa jaaye qareena
Ye abr-e-karam kaash mere dasht pe barse
Zarrah bhi lage gohar-o-almaas se badh kar
Dekhe to koii khaak-e-arab meri nazar se
Ek main hi nahin taalib-e-jalwa mere AQA!
Har ek musalmaan Tere deed ko tarse
Naamoos-e-Muhammad ke liye jaan bhi doon ga
Ho jaaun ga waaqif main shahaadat ke hunar se
Dunya ke faqat chand hi lamhaat the guzre
Ho aaye payambar mere sadiyaun ke safar se
Jo shaam-o-sahar Salle Alaa kehta rahe ga
Aaye ga bulawa usay AQA ke nagar se
Kuch khauf nahin mujh ko kadee dhoop ka Amjad
Saaya mujhe miltaa hai Risaalat ke shajar se

A is for Allah


A is for Allah
When you feel all alone in this world
And there's nobody to count your tears
Just remember, no matter where you are
Allah knows
Allah knows
.
When you carrying a monster load
And you wonder how far you can go
With every step on that road that you take
Allah knows
Allah know
CHORUS
No matter what, inside or out
There's one thing of which there's no doubt
Allah knows
Allah knows
And whatever lies in the heavens and the earth
Every star in this whole universe
Allah knows
Allah knows
When you find that special someone
Feel your whole life has barely begun
You can walk on the moon, shout it to everyone
Allah knows
Allah knows
When you gaze with love in your eyes
Catch a glimpse of paradise
And you see your child take the first breath of life
Allah knows
Allah knows
CHORUS
When you lose someone close to your heart
See your whole world fall apart
And you try to go on but it seems so hard
Allah knows
Allah knows
You see we all have a path to choose
Through the valleys and hills we go
With the ups and the downs, never fret never frown
Allah knows
Allah knows
CHORUS (x2)
BRIDGE:
Every grain of sand,
In every desert land, He knows.
Every shade of palm,
Every closed hand, He knows.
Every sparkling tear,
On every eyelash, He knows.
Every thought I have,
And every word I share, He knows.
Allah knows.