Showing posts with label F. Show all posts
Showing posts with label F. Show all posts

Friday, January 6, 2012

Faaslaun Ko Takalluf Hai



Faaslaun ko takalluf hai hum se agar, hum bhi bay bus nahi, bay sahara nahi
Khud Inhi ko pukarenge hum door se, raaste me agar paoon thak jaenge
Jaise hi Sabz Gumbad nazar aega, bandagi ka qareenah badal jaega
Sar jhuka ne ki fursat milegi kise, khud hi aankhaun se sajde se tapak jaenge
Hum Madine me tanha nikal jaenge, aur galiyaun me qasdan bhatak jaenge
Hum wahaan jakay wapas nahi aenge, dhoond te dhoond te log thak jaenge
Naam Inka jahaan bhi liya jaega, Zikr Inka jahaan bhi kiya jaega
Noor hi Noor seenaun me bhar jaega, Sari Mehfil me Jalwe lapak jaenge
Ai Madine ke zaer Khuda ke liye, daastanay safar mujh ko yoon mat suna
Dil tadap jaega, baat badh jaegi, mere muhtaat aansoon chalak jaenge
Inki Chasme Karam ko hai, iss ki khabar, kis musafir ko hai kitna shauqe safar
Hum ko Iqbal jab bhi ijazat mili, hum bhi AQA ke Darbaar tak jaeng

Faesla Nabi Ka Hai


Faesla Nabi ka hai Sunni bakhshe jaenge
Garmee Qayamat se hum najaat Paenge
Jitne hai a'ado Pyare Sarware do Alam ke
Atish e jahannam me woh jalae jaenge
Noor se chamak uthee bil-yakheen lahad meri
Qabr me mere AQA muskurate aaenge
Roze hashr kauthar ka jaam apni ummat ko
Apne Daste Aqdas se Mustafa pilate jaenge
Inka Dar pe janay ka gar sharf mila hum ko
Naat e Mustafa nadim hum sunate jaenge.