Showing posts with label H. Show all posts
Showing posts with label H. Show all posts

Monday, January 16, 2012

Haajiyo aawo Shahenshah ka Roza dekho


Haajiyo aawo Shahenshah ka Roza dekho
Kaaba to dekh chuke Kaabe ka Kaaba dekho
Rukhne Shaami se miti wah’shate shaame gurbat
Ab Madine ko chalo subhe dil aaraa dekho
Aabe Zam-Zam to piyaa khoob bujhaa-ee pyaase
Aawo joode Shahe Kowsar ka bi darya dekho
Zayre Mizaab mile khoob Karamke cheente
Abre Rehmat ka yaha zowr barasnaa dekho
Khoob aankho se lagaaya he Gilaafe Kaaba
Kasre Mehboob ke parde ka bhi jalwah dekho
Zeenate Kaaba me tha laakh arooso ka banaw
Jalwa farma yaha kownain ka doolhaa dekho
Dho chuka zulmate dil bosaa-e Sunge Aswad
Khaak bosi-e-Madina ka bhi Rutbaa dekho
Jum’ma-e Makkah tha Eid, Ahle Ibaadat keliye
Mujrimo! Aawo yaha Eide Do Shamba dekho
Raqse Bismilki bahaare to Minaa me dekhi
Dil khonaa be Fishaa ka bhi Tarapna dekho
Gowr se sun to Raza Kaaba se aati he sadaa
Meri aankho se mere Pyaare ka Rozaa dekho

Habeeb-e-Khuda ka nazara karoon mein


Habeeb-e-Khuda ka nazara karoon mein
Dilo jaan unpar nisaaraa karoon mein
Yeh ek Jaan kya hai agar ho karoro
Tere Naam par sab ko waaraa karoon mein
Tere Naam par sar ko qurbaan kar ke
Tere sar se Sadqe utaara karoon mein
Mera Deen-o-Imaan Firishte jo pooche
Tumhari hi jaanib ishaaraa karoon mein
Khudara ab aawo ke dam he labo par
Dame wapasi to nazaara karoon mein
Khudaa kher se laye woh din bhi Noori
Madine ki galiyan bohaaraa karoon mein
Mujhe apni rehmat se to apna karle
Siwa Tere sab se kinaaraa karoon mein
Mein kyoon ghair ki thokare khane jawoon
Tere Dar se apna guzaaraa karon mein
Tera Zikr lab par khuda dil ke andar
Yunahi zindagani guzaaraa karoon mein
Dame wapasi tak tere geet gaoon
Muhammad Muhammad phukaaraa karoon mein
Tere dar ke hote kahan jawoon pyare
Kahan apna daaman pasaaraa karoon mein
Khudaa aisi kuwat de mere qalam mein
Ke Bad-Mazhabon ko sudhaaraa karoon mein