Friday, December 2, 2011

Bachaya hai hussain (raziallahu tala anhu) ne deen ko


Bachaya hai hussain (raziallahu tala anhu) ne deen ko
Ke karbala me kata kar apne sar ko
Kis tarha ki hai hifazat shariyat-e-Mustafa (sallallhu alaihi wa sallam)ki
Qurbaan kar diya apne nanhe se asghar (raziallahu tala anhu) ko
Haae kis tarha sabar kiye hai Aal-e-Rasool
Khuda ki raah me qurbaan kardi apni jaanaun ko
Tum muqtaar Nabi ke muqtaar Nawase ho ya hussain (raziallahu tala anhu)
Kalima padaya us taazim karne wale yahudi ko
Ye nawase hai do aalam ke badeshah ke
Haye shimar mardud ye tune qatal kiya hai kis ko
Batti gul karke kaha aapne, jo jana chahta hai jai
Lekin manzur the saare jam-e-shahadat peenay ko
Duaa kar dete Hussain (raziallahu tala anhu) halaak-o-barbaad hojate yazidi
Lekin bhuk aur pyas manzoor thi Hussain(raziallahu tala anhu)ko
Maan najdi yazid ku tu apna peshwa
Hum ne to maan liya badeshah Hussain (raziallahu tala anhu) ko
Sirf ye sabar hi tha majboori nahi aye najdi
Chahe to thokar mar kar paani pila dete sab ko
Aa e hai yazidi ban kar najdi aur raabzi
Ya hussain(raziallahu tala anhu) khudara bachao hum sunni'aun ko
JABER fikr kiyu karta hai roz-e-mahshar ki
Tune apna peshwa maana hai jannat ke Sardar ko

No comments:

Post a Comment