Hammay apna Woh (S.A.W.W) kehtey hain, Muhabbat ho tou aise ho
Hammay nazrou may rakhtey hain, Inaayat ho tou aise ho
Woh (S.A.W.W) pathar maarne waalo ko detay hain dua aksar
Koi lao misaal aise, sharaafat hou tou aise ho
Ishaara jab Woh (S.A.W.W) famaey, tou pathar bol uthtay hain
Nabuwwat ho tou aise ho, Risaalat hou tou aise ho
Wahaaa mujrim ko milti hain pahaei bhi jazaein bhi
Madiney may jo lagti hay, adalat ho tou aise ho
Maire Aqa (S.A.W.W) ki wilaadat per huwey sab ko ata detey
Issey milaad kehtey hain, wilaadat ho tou aise ho
Namaz-e-Asr ko qurbaan ker kay Un (S.A.W.W) ki hasti per
Ali Maula (R.A) ne batlaaya, ibaadat ho tou aise ho
Namaz-e-Asr ko qurbaan ker kay Un (S.A.W.W) kay chahrey per
Ali Maula (R.A) ne batlaaya, ziyaarat ho tou aise ho
Hussain ibne Ali (R.A) ne karbala may ye kiya saabit
Rahe jaari jo nayzey per, tilaawat ho tou aise ho

No comments:
Post a Comment