Gunahon ki adat churah meray Mowla,
mujhay naik insaan bana meray Mowla
Meri saabiqa har khatha meray Mowla,
thu Rehmath sey apni mita meray Mowla
Thu qudrath say apni badal naikyon sey,
har ik meri laghzish khata meray Mowla
mujhay naik insaan bana meray Mowla
Jo Thuj ko jo Teray Nabi ko pasand hai,
mujhay aisa bandhah bana meray Mowla
Thu Masjood mera mey saajid hu Tera,
Thu Malik mey bandha Tera meray Mowla
Thu Matloob mera mey talib hu Tera,
mujhay deyday apni wila meray Mowla
mujhay naik insaan bana meray Mowla
Thu leyga agar adal sey kaam apnay,
mey hun mustahik naar ka meray Mowla
Thujay waastha Teri Rahmat ka Ya Rabb,
jahannam sey mujh ko bacha meray Mowla
Jo Rahmath Teri Shah miley haal ho tho,
tikana hey jannath mera meray Mowla
mujhay naik insaan bana meray Mowla
meri tha qiyamat jo nasley ho Ya Rabb,
ho sab aashiq-e-Mustafah meray Mowla
mujhay bhi dikhaday Thu jalwa Nabi ka
yahi hai meri iltijah meray Mowla
jinon ney kaha hai duaon ka mujh sey,
Thu kar dey sabhi ka bhala meray Mowla
rula Thu mujhay bas gham-e-Mustafa mey,
na duniya keh gham mey rula meray Mowla
na mohtaaj kar Thu jahan mey kisi ka,
mujhay muflisi sey bacha meray Mowla
hai Ka’bay pay nazray Obaiday Raza ki,
ho maqbool har ik dua meray Mowla
mujhay naik insaan bana meray Mowla
No comments:
Post a Comment