Mein Madine chala, Mein Madine chala
Phir karam hogaya, Mein Madine chala
Saaqiya meh pilaa, Mein Madine chala
Masto be khud bana, Mein Madine chala
Kaif-sa chaa gaya, Mein Madine chala
Jhoomta jhoomta, Mein Madine chala
Kya bata-o mili, dil ko kayse kushi
Jub ye meine suna, Mein Madine chala
Muskuraane lagi, mere dil ki gali
Guncha guncha kila, Mein Madine chala
Phir ijaazat mili, jub khabar ye suni
Dil mera jhoomta, Mein Madine chala
Ashke thamte nahi, pau jhamte nahi
Lar karata huwa, Mein Madine chala
Meray ganday kadam or un ka haram
Laaj rakhna Khuda, Mein Madine chala
Ay shajar ay hajar, tum bi shamso kamar
Dheko dheko zara, Mein Madine chala
Dekh thare mujhe, ye nazare mujhe
Tum bi dheko zara, Mein Madine chala
Rooh he muztar teher, tu nikalna udhar
Itni jaldi he kya, Mein Madine chala
Haath uthe rahe, mujh ko dethe rahe
Woh talab se siwaa, Mein Madine chala
Mere Akaa ka ghar, wo ga peshe nazar
Chaahiye aur kya, Mein Madine chala
Mere Siddique Umar, wo Salaam aap par
Aur rehmat saada, Mein Madine chala
Woh Uhud ki zamin, jis ke andar makin
Mere Hamza piyaa, Mein Madine chala
Ghumbade subz par, jub paregi nazar
Kya suroor aayega, Mein Madine chala
Unke Minaar par, jub pare gi nazar
Kya suroor aayega, Mein Madine chala
Mimbare noor par, jub uthe gi nazar
Kya suroor aayega, Mein Madine chala
Mustapha ke Huzoor, apne sare qusoor
Baksh wale chala, Mein Madine chala
Kya karega idhar, band rakhte safar
Chal Ubaid-e Raza, Mein Madine chala
Kya ye tune kaha, ai Ubaid-e Raza
Sonch to kuch zara, Mein Madine chala
Lutf to jub mile, mere Murshid kahi
Chal Ubaid-e Raza, Mein Madine chala
Rehmat-e jhoom kar, barse ataar par
Behre Ahmad Raza, Mein Madine chala
No comments:
Post a Comment