Sunday, June 30, 2013

Nisaar mein teri galiyon kay aye watan kay jahan in Shair-o-Shairi

Nisaar mein teri galiyon kay aye watan kay jahan
chali hay rasm kay koi na sar utha kay chalay
jo koi chahnay wala tawaf ko niklay
nazar chura kay, jism o jaan bacha kay chalay
hay ehl e dil kay liay ab ye nazm e bast o kushar
kay sang o khasht muqeed hain aur sag aazad
buhat hein zulm kay dast, bahana jo kay liay
jo chand ehl e junoon teray naam lewa hein
banein hein ehl e hawas, mudd'ai bhi, munsif bhi,
kisay wakeel karein, kis say munsafi chahein..

magar guzarnay walon kay din guzartay hein
teray firaaq mein yun subh o shaam kartay hein
bujha jo dozan zindaan to dil ye samjha hay
kay teri maang sitaron say bhar gayi ho gi
chamak uthay hein salasil to hum nay jana
kay ab sahar teray rukh pe bikhar gayi ho gi
gharaz tasavur sham o sahar mein jitay hein
girift saya e divar o dar mein jitay hein
yunhi hamesha ulajhti rahi hay zulm say khilq
na in ki rasm naee hay, na apni reet naee
yunhi hamesha khilaye hein humne aag mein phool
na inki haar nai hay, na apni jeet nai!

isi sabab say falak ka gila nahin kartay
teray firaq mein dil bura nahi kartay
gar aaj tujh say juda hein to kal baham hon gay
ye raat bhar ki judai to koi baat nahi
gar aaj auj pe hai talala raqeeb to kia
ye char din ki khudai to koi baat nahi
jo tujh say ehd e wafa istawar rakhte hein
ilaaj gardish lail o nihar rakhte hein

Faiz Ahmed Faiz

No comments:

Post a Comment