Showing posts with label Naat-e-Pak. Show all posts
Showing posts with label Naat-e-Pak. Show all posts

Monday, January 16, 2012

Jab gunmbaday Khuzra pae woh pehli nazar gae,


Jab gunmbaday Khuzra pae woh pehli nazar gae,
Ankhon k rastay meray dil main utar gae,
sir hum tha lab thay khamosh thay ankhain thi ashkbar
ik saate baydar thi jo ke ghur gae
Ankhon k rastay meray dil main utar gae,
main barish-e-karam main naha sa gaya udhar
woh barish-e-karam meray dama ko bhar gae
dil bhi hai shad shad tabiayt hai pur bahar
lagta hai aj meri madinay khabar gae
ho na ho aj kuch mera zikr huzoor main hua
warna meri taraf khushi dekh k muskurai kyun
taiba se lautna kisi ashiq se poochiye
aisa hai jaisay rooh badan se guzar gae

Jab Husn Tha Unka Jalwa Numa, Anwaar Ka Alam Kya Hoga


Jab Husn Tha Unka Jalwa Numa, Anwaar Ka Alam Kya Hoga
Har Koee Fida Hai Bin Dekhe, Deedaar Ka Alam Kya Hoga
Ek Simt Ali Ek Simt Umar, Siddiq Idhar Uthmaan Udhar
In Jug Mug Jug Mug Taraun May, Sarkaar Ka Alam Kya Hoga
Jis Waqt Haleemah Ki Godi, Anwaare Khuda Say Raushan Thi
Us Waqt Haleemah Daee Kay, Ghar Baar Ka Alam Kya Hoga
Jab Inke Gada Bhar Detay Hain, Shahaanay Zamana Ki Jholi
Mohtaaj Ka Jab Yeh Alam Ha, Mukhtaar Ka Alam Kya Hoga
Chahay To Ishaaraun Say Apne, Kaya Hi Palat Day Duniya Ki
Yeh Shaan Hai Unke Ghulamau'n Ki, Sardaar Ka Alam Kya Hoga
Sun Sun Kay Sahaba Ki Batein, Kuffar Musalmaan Hotay Thay
Phir Mere Rasool-E-Akram Ki, Guftaar Ka Alam Kya Hoga
Taibah Say Hawaein Atee Hai Baikal Ko Sukoon Mil Jata Hai
Iss Paar Ka Jab Yeh Alam Hai, Uss Paar Ka Alam Kya Hoga

Ik baar Madine mein, ho jaey mere jaana


Ik baar Madine mein, ho jaey mere jaana
Phir aur na kuch maangein, sarkaar ka diwana
Pal Pal mera dil tarpe, din raat kare zaaari
kab aoun Madine? kab aey meri baari?
kab ja ge main dekhoun ga, darbaar woh shahaana?
Is aas par jiita houn, ik roz bulaey ge
aur gunbad-e-khazra ka, didar karaein ge
phir pesh karru gaa main, ashiqo bhara nazrana
Ik baar Madine mein ho jaey mera jaana
Bechain nighahon ko dedaar ‘ata kar do,
Daman mera kuch owse yaa shah-e-ummam barh do
Abad Khuda rakhe aaqa tera maikana
Itni si tamana hai, ho jaey agar puuri
jaane ko madina main, ho jaey jo manzuuri
bin diide ki aey shaahan, mar jaey na diwana
Ik baar Madina mein ho jaey mera jaana
Phir aur na kuch maange, sarkaar ka diwaana

I look I see


I look I see
I look, I look, I look, I see
I see a world of beauty
I touch, I touch, I touch, I feel
I feel a world around so real
And everything I do
I dedicate to You
Cause You made me
I am for You
I listen, listen, listen, I hear
I hear the words of God so clear
I read, I read, I read, I know
It helps my knowledge grow
And everything we do
We dedicate to You
Cause You made us
We are for You
I listen, listen, listen, I hear
He sent the Prophet to show us the way
He made Religion perfect that Day
Peace be upon him, upon him we pray
Salatullah, wa salamu 'alyhi
I sleep I sleep, I sleep, I dream
I dream I'm in a garden green
I wish, I wish, I wish I pray
I pray to be here everyday
And everything I do
I dedicate to You
Cause You made me
I am for You
I work, I work, I work, I strive
To make something of my life
I seek, I seek, I seek, I find
I find another hill to climb
And everything we do
We dedicate to You
Cause You made us
We are for You
I look, I look, I look, I see
He sent the Prophet to show us the way
He made Religion perfect that Day
Peace be upon him, upon him we pray
Salatullah, wa salamu 'alyhi (x2) p

Haajiyo aawo Shahenshah ka Roza dekho


Haajiyo aawo Shahenshah ka Roza dekho
Kaaba to dekh chuke Kaabe ka Kaaba dekho
Rukhne Shaami se miti wah’shate shaame gurbat
Ab Madine ko chalo subhe dil aaraa dekho
Aabe Zam-Zam to piyaa khoob bujhaa-ee pyaase
Aawo joode Shahe Kowsar ka bi darya dekho
Zayre Mizaab mile khoob Karamke cheente
Abre Rehmat ka yaha zowr barasnaa dekho
Khoob aankho se lagaaya he Gilaafe Kaaba
Kasre Mehboob ke parde ka bhi jalwah dekho
Zeenate Kaaba me tha laakh arooso ka banaw
Jalwa farma yaha kownain ka doolhaa dekho
Dho chuka zulmate dil bosaa-e Sunge Aswad
Khaak bosi-e-Madina ka bhi Rutbaa dekho
Jum’ma-e Makkah tha Eid, Ahle Ibaadat keliye
Mujrimo! Aawo yaha Eide Do Shamba dekho
Raqse Bismilki bahaare to Minaa me dekhi
Dil khonaa be Fishaa ka bhi Tarapna dekho
Gowr se sun to Raza Kaaba se aati he sadaa
Meri aankho se mere Pyaare ka Rozaa dekho

Habeeb-e-Khuda ka nazara karoon mein


Habeeb-e-Khuda ka nazara karoon mein
Dilo jaan unpar nisaaraa karoon mein
Yeh ek Jaan kya hai agar ho karoro
Tere Naam par sab ko waaraa karoon mein
Tere Naam par sar ko qurbaan kar ke
Tere sar se Sadqe utaara karoon mein
Mera Deen-o-Imaan Firishte jo pooche
Tumhari hi jaanib ishaaraa karoon mein
Khudara ab aawo ke dam he labo par
Dame wapasi to nazaara karoon mein
Khudaa kher se laye woh din bhi Noori
Madine ki galiyan bohaaraa karoon mein
Mujhe apni rehmat se to apna karle
Siwa Tere sab se kinaaraa karoon mein
Mein kyoon ghair ki thokare khane jawoon
Tere Dar se apna guzaaraa karon mein
Tera Zikr lab par khuda dil ke andar
Yunahi zindagani guzaaraa karoon mein
Dame wapasi tak tere geet gaoon
Muhammad Muhammad phukaaraa karoon mein
Tere dar ke hote kahan jawoon pyare
Kahan apna daaman pasaaraa karoon mein
Khudaa aisi kuwat de mere qalam mein
Ke Bad-Mazhabon ko sudhaaraa karoon mein

Friday, January 6, 2012

Eh Sarware Dunya O Deen


Eh Sarware Dunya O Deen
Teri Niraali Shaan Heh
Dar Heh Tera Rashke Haram
Chehra Tera Quraan Heh
Khatme Rasool, Mukhtare Gul
Nabiyo Ka Thu Sultaan Heh
Surat Teri, Husne Azal
Tujhpe Jaha Qurbaan Heh
Mangtoh Ko Aaka Rak Baram
Karde Karam Shahe Umam
Dookiyo Ki Mushkil Taalna
Tere Liye Asaan Heh
Mehraj Ka Doolha Heh Thu
Khaliq Ke Dar Pochcha Heh Thu
Thu Heh Habibe Kibriya
Thu Arsh Ka Mehmaan Heh
Darse Tere, Vaabastagi
Dono Jaha Ki Behtari
Nisbat Teri Yaa Mustapha
Imaan Ki Pehchaan Heh

Eid-e-Nabvi Ka Zamanah


Eid-e-Nabvi ka zamanah aa gaya
lab peh khushiyon ka tharana aa gaya
har sitarey ko mili hai roshani
har kali ko muskurana aa gaya
har tharaf Salle ala ki dhoom hai
wajd mein sara zamana aa gaya
parcham deen Muhammad ho buland
kafir ko gardan jukana aa gaya
kyun na ho qismat key maron
paas rehmat ka khazana aa gaya
Aaj chamkado dar-o-deewar ko
aashiqon ka din suhana aa gaya
Shaad hunton peh hai naat Mustafa
haath bakhshish ka bahanah aa gaya

Faaslaun Ko Takalluf Hai



Faaslaun ko takalluf hai hum se agar, hum bhi bay bus nahi, bay sahara nahi
Khud Inhi ko pukarenge hum door se, raaste me agar paoon thak jaenge
Jaise hi Sabz Gumbad nazar aega, bandagi ka qareenah badal jaega
Sar jhuka ne ki fursat milegi kise, khud hi aankhaun se sajde se tapak jaenge
Hum Madine me tanha nikal jaenge, aur galiyaun me qasdan bhatak jaenge
Hum wahaan jakay wapas nahi aenge, dhoond te dhoond te log thak jaenge
Naam Inka jahaan bhi liya jaega, Zikr Inka jahaan bhi kiya jaega
Noor hi Noor seenaun me bhar jaega, Sari Mehfil me Jalwe lapak jaenge
Ai Madine ke zaer Khuda ke liye, daastanay safar mujh ko yoon mat suna
Dil tadap jaega, baat badh jaegi, mere muhtaat aansoon chalak jaenge
Inki Chasme Karam ko hai, iss ki khabar, kis musafir ko hai kitna shauqe safar
Hum ko Iqbal jab bhi ijazat mili, hum bhi AQA ke Darbaar tak jaeng

Faesla Nabi Ka Hai


Faesla Nabi ka hai Sunni bakhshe jaenge
Garmee Qayamat se hum najaat Paenge
Jitne hai a'ado Pyare Sarware do Alam ke
Atish e jahannam me woh jalae jaenge
Noor se chamak uthee bil-yakheen lahad meri
Qabr me mere AQA muskurate aaenge
Roze hashr kauthar ka jaam apni ummat ko
Apne Daste Aqdas se Mustafa pilate jaenge
Inka Dar pe janay ka gar sharf mila hum ko
Naat e Mustafa nadim hum sunate jaenge.

Gar Talab Sey Kuch Masewa Chahey


Gar Talab Sey Kuch Masewa Chahey
Un Ka Daman Nahi Chorna Chahey
Dil Ko Deed E Rukhey Mustafa Chahey
Ainey Key Liey Aina Chahey
Hath Mey Daman E Mustafa Aa Giya
Eik Gunahgar Ko Aur Kia Chahey
Ley Chalo Aab Madine Ko Jaga Karo
Mujh Ko Taiba Ki Abo hawa Chaey
Gar Talab Sey Bhe Kuch Masewa Chahey
Un ka Daman Nahi Chorna Chahey
Tum Miley To Doalam Ki Dulat Mile
Is Sey Barh Kar Humey Aur Kia Chahey
Nematain Dono Alam Ki Dey Kar Mujhy
Pochty Hein Bata Aur Kia Chahey
Samny Sarware Do jahan Aa Gay
Hashr Mey Aur Bismil Ko Kia Chahey
Gar Talab Sey Bhe Kuch Masewa Chahey
Un Ka Daman Nahi Chorna Chahey

Gham Hogaye Be Shumar Aaqa


gham hogaye be shumar aaqa
banda tere nisar aqa
bigra jata hai khel mera
aqa aqa sanwar aqa
majboor hai ham to fikr kia hai
tum ko to hai iqtiyaar aaqa
mai dur hoo tum to ho mere paas
Sun lo meri pukaar aqa
mujh sa koi gham zada na hoga
tum sa koi gham gusar aqa
manjhdaar pe aake naw tuti
de haat ke hoo mai paar aqa
halka hai agar hamara palla
bhari hai tera viquar aqa
tuthi jaati hai pith meri
lillah ye boj utar aqa
jis ki marzi khuda na taali
mera hai wo namodar aqa
kiya bhul hai inke hote kaha laiq
duniya ke ye tajidaar aqa
un ke adni gadha pe mit jaye
aise aise haazar aqa
itni rahmat RAZA pe karlo
la yaqrubu hul bawar aqa

Monday, January 2, 2012

Dar Peh Bulaao, Makki Madni


Dar peh bulaao, Makki Madni (P.B.U.H)
BigRi Banaao, Makki Madni (P.B.U.H)
Deed Teri hai, eid meri
Deed karaao, Makki Madni (P.B.U.H)
Dar peh bulaao, Makki Madni (P.B.U.H)
Mehshar may ho lab peh meray
'Mujh ko Bachaao, Makki Madni' (P.B.U.H)
Dar peh bulaao, Makki Madni (P.B.U.H)
Apnay (P.B.U.H) nawasoon kay sadqay
Dukhray mitaao, Makki Madni (P.B.U.H)
Dar peh bulaao, Makki Madni (P.B.U.H)
Gumbad-e-Khazraa ke saae tallay
Mujh ko sulaao, Makki Madni (P.B.U.H)
Dar peh bulaao, Makki Madni (P.B.U.H)
Mangta hoon mein sawaali hoon. Ishq-e-Nabi (P.B.U.H) ka pujari hoon
Thokarein khaata hoon dar dar ki. Dar peh bulaao, Makki Madni (P.B.U.H)
BigRi banaao, Makki Madni (P.B.U.H)
Har saans mein Madina hai. Muskhkil ab mera jeena hay
Dil mein tamanna hai Taiba ki. Dar peh bulaao, Makki Madni (P.B.U.H)
BigRi banaao, Makki Madni (P.B.U.H)
Barsoon say akhiyaan tarsee
Jalwaa dikhaao, Makki Madni (P.B.U.H)
Dar peh Bulaao, Makki Madni (P.B.U.H)
Asdi gunahoon mein dooba hua hai
Jaisa hay nibhaao, Makki Madni (P.B.U.H)
Dar peh bulaao, Makki Madni (P.B.U.H)
BigRi Banaao, Makki Madni (P.B.U.H)
Dar peh bulaao, Makki Madni (P.B.U.H)

Dar Pe Bulawo Makki Madni


Dar pe bulawo makki madni,
Bigri banawo makki madni,
Deed teri hai, eid meri
Deed karawo makki madni,
Dar pe bulawo makki madni
Mehshar me ho lab pe mere
"'Mujh ko bachawo makki madni"
Dar pe bulawo makki madni
Apne nawason ke sadqe
Dukhre mitawo makki madni,
Dar pe bulawo makki madni
Gumbad-e-Khazra ke saaye taleh
Mujh ko sulawo makki madni,
Dar pe bulawo makki madni
Mangta hu(n) me sawaali hoon,
Ishq-e-Nabi ka pujaari hu(n),
Thokaren khaata hu(n) dar dar ki,
Dar pe bulawo makki madni,
Bigri banawo makki madni
Har saas me Madinah he,
muskhkil ab mera jeena he,
Dil mein tamanna hai Tayba ki,
Dar pe bulawo makki madni,
Bigri banawo makki madni
Barso(n) say akhiya tarsi,
Jalwa dikhawo makki madni,
Dar pe bulawo makki madni
Asdi gunaho me dooba huwa he
Jaisa he nibhawo makki madni,
Dar pe bulawo makki madni,
Bigri banawo makki madni
Dar pe bulawo makki madni

Bekaso se hai jinhe pyar wohi aaye hai


Bekaso se hai jinhe pyar wohi aaye hai
Dono alam ke hai gamkhwar wohi aaye hai.
Ya Rasoolallah (Sallaho Alayhe Wasslam) Merhaba Merhaba
Ya Habiballah (Sallaho Alayhe Wasslam) Merhaba Merhaba
Ek nazar asman pe daal merhaba,
Chamka mah e noor ka Hilal merhaba.
Zande lagao, galiya sajao
Karlo charaga, ghar jagmagao
Razi hoga Rabb-e-Zuljalal. Merhaba
Mehfil sajao naate sunao
Aaqa ki amad ki dhoome machao
Rozo shab yahi ho apna haal. Merhaba
Aashiq ke dil jagmagane lage hai
Dekho zara muskurane lage hai
Shahkar-e-Rabb-Zuljalal Merhaba
Sadqa viladat ka jalwa dikha do
Dil ki lagi abb to aaqa buja do
Dikhla do apna abb jamal. Merhaba
Judo sakahwat se adat tumhari
Failaye daman khade hai bhikari
Kar do karma Amena ke lal Merhaba
Jame shahadat piya hai jinhone
Ahle sunan ko jila di unhone
Yaad ayenge woh har saal. Merhaba
Shadi ke nagme sunate rehenge
Jashne viladat manate rahenge
Vaar denge tumpe jaanomal Merhaba..
Padhne laga jab UBED unki naate
Hone lagi charsoo ooski baaten,
Faize Raza ka hai sab kamal Merhaba
Writtenn By : Alhaaj Owais Raza Qadri
Posted By : Naqee Ahmed Barkaati

CHAMAK TUJH SE PAATE


CHAMAK TUJH SE PAATE
HE SUB PAANE WAALE
MERA DIL BHI CHAMKA DE
CHAMKAANE WAALE
All those who attain brightness attain it from You
Brighten my heart also, O? You who Brightens
BARASTA NAHI? DEKH KAR
ABRE REHMAT
BADO PAR BHI BARSA DE
BARSAA NE WAALE
The rain of your Mercy descends, on all.?
Allow it to descend upon the sinners as well,
O You who Showers (his mercy upon us)
TOO ZINDA HE WAL'LLAH
TOO ZINDA HE WAL'LLAH
MERE CHASME AALAM
SE CHUP JAANE WAALE
You are alive By Allah, By Allah You are Alive!
O You who is hidden away from our physical sight
RAHE GA YUNHI UNKA
CHARCHA REAHEGA
PAR?E KHAAK HO JAAYE
JAL JAANE WAALE
Forever shall His indestructible excellence be publicised
whilst the jealous will burn in their jealousy to ashes
RAZA NAFS DUSHMAN HE
DUM ME NA AANA
KAHAA TUM NE DEKHI HE
CHAND RAANE WAALE

Chalo diyaar-e-nabi ki jaanib durood lab par saja saja kar


Chalo diyaar-e-nabi ki jaanib durood lab par saja saja kar
Bahaar luuttain ge ham karam ki dilon ko daman bana bana kar
Na un ke jesa sakhi hei koii na un ke jesa ghani hei koii
Wo be-nawa-o ka har jaga se nawaazte hein bula bula kar
Mein wo nikamma hun jisski jholi main koii husn-e-amal nahiin hei
Magar wo ihsaan kar rahe hein khata-ain meri chhupa chhupa kar
Hei unki ummat se pyaar kitna karam hei rahmat sha'aar kitna
Hamaare jurmon ko dho rahe hein wo apne aansu baha baha kar
Yahi asaas-e-amal hei meri issi se bigrri bani hei meri
Samett-ta hun karam khuda ka nabi ki naatain suna suna kar
Wo raahain ab tak saji huii hein dilon ka kaaba bani huii hein
Jahaan jahaan se huzur guzre hein naqsh apna jama jama kar
Agar muqaddar ne yaawri ki agar madine gya mein Khaalid
Qadam qadam khaak uss gali ki mein chuum lun ga uttha uttha kar