Friday, January 6, 2012

Gham Hogaye Be Shumar Aaqa


gham hogaye be shumar aaqa
banda tere nisar aqa
bigra jata hai khel mera
aqa aqa sanwar aqa
majboor hai ham to fikr kia hai
tum ko to hai iqtiyaar aaqa
mai dur hoo tum to ho mere paas
Sun lo meri pukaar aqa
mujh sa koi gham zada na hoga
tum sa koi gham gusar aqa
manjhdaar pe aake naw tuti
de haat ke hoo mai paar aqa
halka hai agar hamara palla
bhari hai tera viquar aqa
tuthi jaati hai pith meri
lillah ye boj utar aqa
jis ki marzi khuda na taali
mera hai wo namodar aqa
kiya bhul hai inke hote kaha laiq
duniya ke ye tajidaar aqa
un ke adni gadha pe mit jaye
aise aise haazar aqa
itni rahmat RAZA pe karlo
la yaqrubu hul bawar aqa

No comments:

Post a Comment