Monday, January 16, 2012

Ik baar Madine mein, ho jaey mere jaana


Ik baar Madine mein, ho jaey mere jaana
Phir aur na kuch maangein, sarkaar ka diwana
Pal Pal mera dil tarpe, din raat kare zaaari
kab aoun Madine? kab aey meri baari?
kab ja ge main dekhoun ga, darbaar woh shahaana?
Is aas par jiita houn, ik roz bulaey ge
aur gunbad-e-khazra ka, didar karaein ge
phir pesh karru gaa main, ashiqo bhara nazrana
Ik baar Madine mein ho jaey mera jaana
Bechain nighahon ko dedaar ‘ata kar do,
Daman mera kuch owse yaa shah-e-ummam barh do
Abad Khuda rakhe aaqa tera maikana
Itni si tamana hai, ho jaey agar puuri
jaane ko madina main, ho jaey jo manzuuri
bin diide ki aey shaahan, mar jaey na diwana
Ik baar Madina mein ho jaey mera jaana
Phir aur na kuch maange, sarkaar ka diwaana

No comments:

Post a Comment