Thursday, July 19, 2012

Yeh Kehti Thi Ghar Ghar- Alhaaj Siddique Ismail with Lyrics



Lyrics- Yeh Kehti Thi Ghar Ghar Mein Jakar Haleema (R.A.)
Meray Ghar Mein Khair-ul-Wara Agaye Hain
Baday Aouj Par Hay Mera Ab Muqaddar
Meray Gher Habeeb-e-Khuda (S.A.W) Agaye Hain

Uthi Char Soo Rehmatoun Ki Ghatayain 
Muattar Muattar Hain Saari Fazaain
Khushi Mein Yeh Jibrail Sunaian
Woh Shafaaye Rozay Jaza Agaye Hain

Mukarrab Hain Beshak Khaleel-o-Najeeb Bhi
Nadi Shaan Walay Kaleem-o-Maseeh Bhi
Liye Arsh Ne Jinkay Qadmoun Ke Bosay
Woh Ummi Laqab Mustafa (S.A.W) Agaye Hain

Yeh Zulmat Se Kehdo Ke Deray Uthalay
Ke Hain Har Taraf Ujalay Ujalay
Kaha Jinko Haq Ne Siraj-um-Muneera
Meray Ghar Woh Noor-e-Khuda (S.A.W) Agaye Hain 

Yeh Sun Kar Saqi Aap (S.A.W) Ka Astana
Hai Daman Pasaray Huay Sab Zamana
Nawasoun Ka Sadqa Nigahay Karam Ho
Teray Dar Par Teray Gada Agaye Hain

Nakeerain Jab Mery Turbat Mein Akar
Kahain Ge Ziyarat Ka Mujda Sunakar
Utho Behray Tazeem Noor-ul- Hasan Ab
Lahad Mein Rasool-e-Khuda (S.A.W) Agaye Hain

Yeh Kehti Thi Ghar Ghar Jakar Haleema
Meray Ghar Mein Khair Ul Wara (S.A.W) Agaye Hain
Baday Aouj Par Hay Mera Ab Muqaddar
Meray Ghar Habeeb-e-Khuda (S.A.W) Agaye Hain

******
Hazrat Jibrail [Alayh Salam] once came to Prophet Muhammad صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم and said "Allah Almighty has given me the knowledge to count every leaf on earth, every fish in the sea, every star in the sky and every particle of sand on earth, but there's only one thing I cant count." Prophet Muhammad (PBUH) asked "What is it?", Jibrail(A.S) replied, "When one of Your (PBUH) )Ummati recites Durood or Salaams to You (PBUH), the blessings Allah Almighty showers upon him become impossible for me to count." SubhanAllah


Sayyiduna Abu Dardah ( Razi Allahu Ta'ala Anhu ) reported: the Holy Prophet (Sallal Laahu Alaihi Wasallam) said, "Whoever recites durood on Me in the morning
ten times and in the evening ten times, for him shall be My intercession on the day of Qiyamah."

"By Him in whose Hands My life is, none of you will have faith till he loves Me more than his father and children."
-- Prophet Muhammad (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ), narrated by Abu Huraira (RaziAllahu Anhu)

No comments:

Post a Comment