Friday, March 30, 2012

Thori si khushi thora thora ghum Aankhon main kaheen sapne na hoon kam

Thori si khushi thora thora ghum
Aankhon main kaheen sapne na hoon kam
Lamhoon ki tara dhire dhire hum
Jalty hi rahe toutey na yeh dam

Nilah aasman sanwali zameen
Wasi ki wasi waheen hay
Arey lout k magar dekhna kabhi
Mazi main kuch bhi naheen hay
Duuri ho jahan jalty hain qadam
Aankhon main kaheen sapne na hoon kam

Waqt ne paoon main dali hain kahi zanjeren
khawab hi khawab faqat aur naheen thabireen
Yeh hay chare pe pani ki bani tasveren
Jalti bujhti hui sada dekhi hain taqderen
Phir bhi kafi hay agar pa leen hum
Thori si khushi thora sa ghum

Aarzou thi kia aur kis qadar
Tum ko thi chahat humari
Arey jaan kis liye tuut si gai
Ik pal main dunya woh sari
Arey kia kareen kia kareen
Aankheen hain abhi thori thori nam
Aankhon main kaheen sapne na hoon kam

No comments:

Post a Comment